Blogger post ke liye har kisi ko post se related image ki jarurat padti hai , Agar image Google se search kar or phir apne blog me used kare to ye copyright material ho jayegi or ko complain kar diya to apki blog par sari mehnat or time bekar hi jayega, Ise bachne ke liye hume khud post se related bana kar upload karna chahiye, Jo bahut software jise hum simple or easy se post se related photo bana sakte hai, Aur apna image bana kar upload karna 100 % illegal hai ise copyright ka issu nahi milega aur bahut hi asani se hum photo bana sakte hai, chaliye jaan lete hain kaise or kaha se ye sab kiya jata hai.
- Fiverr kya hai or ispar apna new account kaise banaye jate hai
- Youtube se Paise kaise kamaye jate hai
- Chitika ads blog me kaise laga kar paise kamate hai
Hum aaj is post me aapko kuch software ke name ke bare me batayenge jo har computer ke pass lagbhag rahta hai, aap inse bahut hi asani se blog ke liye photo nana sakte hai, Maine aksar new blogger ko dekha hu apne post ke liye google image search karte hai or usi picture ko apne blog me use karte hai to copyright ka claimed ho jata hai, Is sab se bachne ke liye mai yahi kahunga ki self create kare image or ohi ko use karein,
- Free me blog - website kaise banaye jate hai
- Online internet se paise kamane ke 5 ache website
- Internet se paise kaise kamaye hain puri jankari
Blog Post Ke Liye Image Kis Software Se Banaye Asani se
Post ke liye image agar banana hai to aap is sab software ko used karte huye bahut hi asani se photo bana sakte hai. Main isme kuch software ke name batane wala hu jo main kuch use karta hu. App allhindimehe ke har post jitna image banaya hai sab self cracte kiya gaya hai.
Photo banane mai jo software use karta hu, Jaise Photoshop or Snagit Paint Jo ki har windows me diya raha hai aap use bhi use kar sakte Camtasia Studio se photo edit kiya ja sakta hai use karna bahut aasan hai ise aap computer ki screen bhi record or mai iska use screen recording ke liye karte hai agar Nahi maloom hai kaise kare to ye post padh,
Self Image Creat Ka Kya Faida Hai
- Kabhi copyright image ka issu nahi rahega
- Ggar photo jitna acha banaye gayi ho look acha lagata ho visitor ko asani rahta hai samjhne me
- Aap khud image banaye post se relate to ise visitor akarsit hote hai apki website par
- Agar photo khud ki bani rahegi to apki post or image search result me bahut tezi se show karega
- Image agar khud ki banayi huyi rahegi to kabhi daar nahi rahega ki mera image copyright hain
- Website blog ka acha ranking milega
Aise bhi bahut faida hai main kahna chahunga ki aap khud image banaye or post kare agar blog pe kam karte hai par photo nahi banani aati hai,
Free me Blogger ke liye bahut haise site hai jaha se bahut hi asani se image download kar ke apni post me laga sakte hai main unme se kuch 5 site share kar raha hu follow kar sakte kare
Blogger Post Ke Liye Free Me Image Kaha Se Download Kar Sakte Hai
Dosto Maine pahle hi bataya hai aap apna self banaye gaye image ka hi use, Kaise banaya jata hai image samjh nahi aa raha hai to ye Top 5 site ke bare me bata raha hu jaha free me apne blog post ke liye image download kar sakte ho.
1. FreeImages :- Ye site bahut acha hai free me image download karne ke liye , Yeha par blogger post se relate lagbhag har parkar ki image free me mil jayegi, Koi bhi image ke liye aap search karne par aa jayega, Par Image download karne ke liye aapko ispar account banai hoti hai nahi to download karne option nahi milega,
Isme aap dekh sakte ho mai SEO post ke liye image search kiya or bahut sari use relate free me image aa gaya hai, Jo Photo chahiye us par click kare original size me opena hoga.. Aise hi sab site hai sabko bahut hi asani se use kar sakte ho,
2. Magdeleine :-Is site ki khas baat mujhe ye acha lag aap bina account create kiye bhi bas is site ko open karke or image search or download click karne se hone lagta hai, Yeh bhi ek bahut acha site hai used kar sakte ho.
Category select kare or apna keyword likhe aap ka image aa jayega or download kar sakte hai. is site se aapko HD Image milega.
3. Gratisography :- Ye bhi acha site hai par isme agar apke net speed slow hoga to picture load hone me time lagta hai kyo ki jab aap image search karenge to bahut sari image ek sath loading lagar open hoga, Ye bhi upar wali ki site ke trah kam karta hai.
4. Stockvault :- Yeha par professional or high quality photo free me download kar sakte hai, Sabse pahle to is site par jaye or apna account banaya phir search box me jaisa image chahiye search kar le
Yeha par maine bataye hai kaise free me search karte hai aapko main search karke bataya hu kaise karte hai jaise maine seo likha to free me aa gya sare photos ,
5. Negativespace :- Ye site par aap professional beutifull photo free me download kar sakte hai. No copyright ka masla kuch nahi hoga aap apne blog ke liye yaha se bhi used kare.
Negative space se bahut acha menubar hai yaha se search karna ek dam simple hai aapko koi problem nahi hoga is website ko use karna,
Note - Maine isme ho site ke name bataya hu jo mujhe acha laga hai or bahut hi asani se free me photos download kar sakte hai, Kyo ki ye sab site ka interface design acha dikha maine jo image search ki mujhe bahut asani se mil jata hai to mai aapke sath share kiya hu, Agar aapke pass koi site hai to apne post ke liye yaha se free me image download kar kar sakte ho,
Mai umeed karta hu ki aap kabhi bhi apne blogger ke liye copyright image photo nahi use karenge Kyunki iska koi faida nahi hoga,
Post acha lage to share comment kare. Agar phir bhi koi problem ya apne pass koi sawal hai to bataye aapki puri help kiya jayega..
5. Negativespace :- Ye site par aap professional beutifull photo free me download kar sakte hai. No copyright ka masla kuch nahi hoga aap apne blog ke liye yaha se bhi used kare.
Negative space se bahut acha menubar hai yaha se search karna ek dam simple hai aapko koi problem nahi hoga is website ko use karna,
Note - Maine isme ho site ke name bataya hu jo mujhe acha laga hai or bahut hi asani se free me photos download kar sakte hai, Kyo ki ye sab site ka interface design acha dikha maine jo image search ki mujhe bahut asani se mil jata hai to mai aapke sath share kiya hu, Agar aapke pass koi site hai to apne post ke liye yaha se free me image download kar kar sakte ho,
Mai umeed karta hu ki aap kabhi bhi apne blogger ke liye copyright image photo nahi use karenge Kyunki iska koi faida nahi hoga,
Post acha lage to share comment kare. Agar phir bhi koi problem ya apne pass koi sawal hai to bataye aapki puri help kiya jayega..