Latest Tweets

header ads

Facebook Page Kaise Banaye | Simple Methods June 2017

Mera Naam Pooja Hai Aur Is Site Par First Guest Post Kar Rahi Hu  Meri Site all hindi gyan, Aap mere Blog visite Kar sakte ho,  Aaj ke is post me hum aapko ye batayenge ki facebook par apna page kaise banaye. Facebook me lagatar daily new users apna facebook account bana rahe hai. Aaj facebook me 1.70 billion logo ne facebook account bana liya hai. Friends aap facebook account se sirf 5 hazar logo se connect ho sakta hai par facebook page se aap lakho logo se jude rah skte hai. But aap ye janate hai ki apne online business ko facebook me free me promote karne ke liye aapko facebook page ki jarurt padegi.
Aapko Facebook page banane ke liye kuch jaruri kaam karne haonge.
Facebook Page ke liye aapka account pehle se hona chaiye, agar aapka account nahi hai facebook par, Toh pehle aap apna Facebook Par Account bana lijiye.






Create FB Page Simple Methods June 2017



Isliye hamara aaj ka ye topic facebook me page kaise banaye us par aadharit hai. Him aapko facebook me page banae ke bare me batane wale hai bus hamare kuch step follow kijiye. Or aasani se aapka facebook page ready ho jayega.

Step 1.

Sabse pehle facebook me login kare.
Login hone ke baad top right side me drop down menu par click kare.
Create page par click kijiye.

Step 2.

Fir agle page me apni category choice kijiye aapko kya chahiye.

Local Business Or Place � Agar aap apni shop ya business ko promotion karne ke liye fb page create kar rahe hai to iss category ko select kar sakte hai.

Facebook Par Apna Page Kaise Banaye
facebook




Company, Organization or Institution � Agar aapki company hai, ya koi organization hai, ya phir koi institute hai jiske liye page banana hai to iss category ko select kare.

Brand or Product � Apne particular brand ya product ki publicity ke liye iss category ko chune.

Artist, Band or Public Figure � Apne talent, aur musical group ya phir kisi celebrity ko share karne ke liye iss category ko select kare.

Entertainment � Entertainment sources jaise music, books, movies etc share karne ke liye yeh category choose kare.

Cause or Community � Iss category ko choose karke hum ek community page bana sakte hai, aur iss community ke sabhi members usme apni post share kar sakte hai, jabki dusri categories me ye option nahi hai.



Step3.

Ab next window me about page description bhare.



Aap apne page ke bare me 155 word me kuch likhe.
Aapki koi website hai to uska url dale wrna khali  rehne de.
Facebook page url ko bhar de , ya phir isse ignore kar sakte hai.
Save info button par click kare.

Step 4.

Ab aapko agle step me page ki profile pic upload krni hogi.

Step 5.

Is step me apna favorite option set kijiye

Step 6.

Locations � mein aap set kar sakte hai ki kis country ya city ke log aapke page ko dekh payenge, sabhi ko show karana hai to everyone in this location rehne dijiye.
Age � yaha par set kar sakte hai ki kis age group ke log aapke page ko dekh sakte hai.
Gender � Kisi particular gender ko choose kar sakte hai ya phir all rehne dijiye.
Interests � Apne interest see related categories select kar sakte hai.
Languages � isse blank rehne dijiye.
Save ki button par click kare.
Agar aap sabhi ko page show karana chahte hai to skip button dabaye.

Facebook page kese banate hai ye is post me humne aaj aapko bata hi diya hai. To friends aapko hamari ye post kaise lagi comment karke batana jarur. Aapko Facebook page banane me koi problem nahi hogi bas ye article ko achhe se read kare. Or mujhe achhe ache comment kijiye.