YouTube video par views badhane ke liya hum kya kya nahi karte hai, Aaj ke time me online earnings karna chahte hai to best idea youtube hai, Par ye unke liye acha jo pahle se youtube par anubhav ho, Hum apne youtube channel par paise kamane ke liye kya kya nahi karte na subscriber milte aur nahi adhik video views, Lekin dhayan de agar aap youtube par paise kamane ke liye soch rahe hai to bahut mehnat karna hoga kam se kam 50 hazaar youtube subscriber badhaye, Agar aapke pass acha youtube subscriber hote huye bhi views kam mil rahe hai to aaj hum apko batane wale hai youtube video views kaise badhaye top 9 tips Tarike ache se aur dhyan se padhe phir baat samajh aayegi,
Top Related Post
Top Related Post
- YouTube Video Ka Ranking Kaise Badhaye Top Tricks
- YouTube Channel Par Subscriber Badane Ke Best 5 Tarika
- YouTube URL Kaise Chane Kare
- YouTube Channel Verify Kaise Kare
Increase Your YouTube Video Views in Hindi
Youtube new user ho pata hi hoga hum youtube par bahut mehnat karke video tutorial youtube par upload karte karte hai, Aur 1 month tak wait karte hai phir bhi video views nahi milte hai, Aur last me sad hokar video uploading karna band kar dete hai,
1. Youtube Video Search Result mein Laye
Iska matlb ye jab bhi jis topic par video banate ho use relate koi keyword youtube search bar me search kare to aap ki video first page par show kare, Kyoki hum ho ya aap kuch video video search karte hai or jo result aata hai samne page or usko hi open karate hai jise views adhik milte hai, Lekin agar youtube par aap new user hai to dhara mushkil kaam hai or jo popular hote unke hi adhi video show hota hai, Agar phir bhi 3 se 4 month lagatar mehnat karenge to acha result milega,
Mere channel ki youtube search percentage dekh sakte ho 67% hai
2. Suggested Video Views
Suggested video views kya hota hai or kaise kaam kartaa hai, Iske lie sabse pahle apne chaanel me jaye phir analytic or traffic open kare to ye detail sab milega apke channel par sabse traffic source kaha se mil raha hai,
Suggested video views kya hai, Hum jab koi video watch karte hai right side me usi type ke video di khata jis type ke video watching karte hai,
Ex. Suggested video right side ohi show karta hai jiska watching time jada hota, So agar koi bhi video banaye toh ache se banaya jab koi dekhe to skip na kare aur puri dekhe to video timing badhegi jise chance milta hai suggested video me show hone ka,
3. Regular Youtube Par Video Upload Kare
Youtube par video daily upload karne se bahut faida milta kyoki ise traffic badh jata or subscriber bhi, Youtube par video uploading ka koi time choose kare aisa karne par jitne subscriber honge unhe jade wait nahi karna padega,
Jaise youtube me ek option browser feature hota, Agar hum google chrome ya youtube app use karte phone me. Youtube me opton hota hai jis wajah se agar hum koi video watch kare chahe woh subscribe kiye ho ya nahi phir bhi us channel ke video show hona start ho jata hai,
4. Attractive Custom Thumnail Use Kare
Maine bahut se video me dekha jo tutorial upload karte use use related thumbnail ka use nahi karte jise bahut loss hota hai, Aisa humne bhi galti kar baitha hai jise kafi nuksan ho lekin baad me in sare tips ko dhyan me rakhte huye follow kiye phir kya mere views milna strat ho gaya,
So aap video upload karte time custom thumbnail ka use kare. Attractive eys chas Custom thumnail create nahi karni aati aap sikh le koi acha photo editing software se, Ise user akarshit hokar video par jarur click karte hai,
By Default video se 3 custom thumnail use hota lekin agar apka youtube channel verify hai to phir jo chahe thumnail use kar sakte ho,
5. Share Video Social Media
Ye bahut important hai aaj ke time aaj har kisi ke paas social account hota agar hum apne video ko social media par share karte hai jise adhik logo tak pahuche., So iske lie sabse pehle apne channel ke name se social media par account kaise facebook google plus twitter, Or share video ko share kare.
6. Youtube Feature Video Playlist Add Kare
Youtube viewers earning or subscriber badhane ke liye sabse jabardast tarike hai. Video feature playlist kaise add karte hai,
To sabse pahle aap Channel >>Feature content,
Iska ye faida agar koi apki video play karega to niche next video show karega jise apne hisab se display time customize kar sakte hai,
End of Video, Start of Video kab display par show hoga set kare phir update kar de,
7. Reply Fast Comment
Aksr hum new user is bare me pata nahi hota hai or hamare channel par koi comment karta hai to ignore karte rahte hai, Aisa krne bahut nuksan hota jise viewers channel par kam aane lagte hai or video views adhik nahi milta,
Isliye agar aap youtube ka jariya banana chahte paise kamane or knowledge share kar rahe to phir aap apne viewers agar koi comment karta hai to reply jaldi(fast) kare, Achhe communication kare koi galt jankari nahi de jise kisi ka nuksan ho,
8. Video File Name Edit Karke Upload Kare
Actually hum jab video recording karne ke bad save karte phir default file name save hota hai, Jise bahut se user aise hi upload karte
Ex. vid001, mov001, mp4, avi 0000123 etc file name hote jise search engine ko samjh nahi aati hai, To sabse pahle aap video banaye phir use rename kare or acha keyword use kare ke upload kare.
Good video ranking subscriber or viewers badhane ke lie video quality &voice acha hona bahut jaruri inhe ignor mat kar kabhi,
9. Youtube Par Tag Video Description Use Kare
Video tag or description bahut jada important hai, Jab aap video upload kare to use video ke bare description jarur likhe or kam se kam 3ya 4 Tag laage video me ye bahut jaruri hai, Bahut new user use ignore karke or comment karenge sir mere video par koi views nahi mil raha hai.
- Paise Kaise Kamaye YouTube Se Best Idea
- Bina Software Ke Youtube Video Kaise Download Kare
- Ghar Baithe Paise Earning Karne Ka Jabardast Idea
- Best 5 Website Make Money Online
Lekin Youtube me description or Tag channel social links add karne par video ranking adhik milta hai. Jiske karan video views baad hai,
I hope youtube par video views kaise badhaye jabardast 9 trike apko pasand aayi hogi, Jisse agar aap youtube earning strat karne ko soch rahe hai or ise follow kare bahut jald successful youtube channel ban jayegi ban jayegi.
Agar apko koi post acha lage to apna sujhao jarur likhe Thank You.,