Google chrome latest tricks 2017 |
1. Google Timer Kya hai or Ise Kese Used Karte Hai
Ise aap google timer ki madat se ek alarm ki trah use kar sakte hai. Iske liye sabse pahle google.com open kar le. Ab search kare google timer.
To kuch is tarah ka dikhega. Sabse pahle reset kar de or ji time aram lagana chahte hai set kar de. Uske bad start par click kar de. Jab time hoga to alarm bazane lagega.
Isko hum sab is liye bhi istemal kar sakte hai. Jab hum computer internet par kam karte hai or par time ka kuch pata nahi chal pata hai kab time bit gaya to alarm ki madat se jaan sakte hai.
2. Google Chrome Game Offline Kaise Khelte Hai
Bahut bar aisa bhi hota hai jab hum internet par kuch kam karte hai to internet ka speed kam hota hai ya phir net nahi chal pata hai aise me sochte hai kare to kya kare.
Sayad apko pata nahi hoga chrome browser ke kuch aise game hai jinhe hum offline bhi khel sakte hai.
Hum sab browser open karte hai hai par net nahi chalta pata hai to kuch is type ke massage show karte hai this webpage is nat available baar- baar Reloade ka image me kuch is tarah ka show hota hai.
Aise me hum samjhe nahi pate hai or browser close kar dete hai kuch der ke liye. To mai bata du yeh ek Game hai jo offline chalta hai isko khilane ke liye aap apne computer ke keyboard me Space Button Dabaye Game Start Ho Jayega Or Bahut Hi Asani Se Space Button Se Khel Payenge.
Agar Apka Android smart phone use karte hai or ye google chrome browser ka problem aati hai to ye game khel sakte hai tarika ek hi hai apne mobile me ye pe cook ke pich ko touch kare game start ho jayega.
3. Google Chrome Se Direct Mp3 Kaise Download Karte Hai
Ji ha agar aap chahte hai koi songs download karna bina software ke to bahut hi asani se kar sakte hai. Iske liye apne browser me type kare. intitle:index.of mp3 your song name here
AB karna ye hai ki Your Song Name Hare Ko remove karde or jo songs download karna chate hai likhe or search kare phir jo resulte samne aayega oha se load kar sakte hai.
4. Google Chrome Pin Tab Kya Hota Hai Or Kaise Use Karte Hai
Bahut bar aisa hota hai apne computer me netconnect hote hi google chrome ko open karta hai or jis par jade kam karte hai use baar.baar search karte hai.Or ek sath bahut 3,4 page site open karte hai in sab se bachne ke liye hum Pin Tab ka use kar sakte hai. Pin Tab karna bahut hi asana hai jo bhi apni site open kiya hai or pin karna chate hai title ke uspar Right Click kare
Ab Pin Tab Kar De. Iska faida ye hai ki apko koi chij har bar search nahi karna hoga. Jaise hi chrome kholte hai to site open ho jayega.
5. Save Browsing Bookmark
Chrome browsing bookmark ke bare me to pata hi hoga. Sabse pahle to baat ye aati hai ki iska hume kyo jarurat prta hai or kis liye. Bahut bar aisa bhi hota hai jab hum kuch search karte hai or koi site acha lagta hai lekin baad me pata chala ki oh website bhul gaye hai. Aise me hum bokmark kar sakte hai
Browsing bookmark karne ke liye sabse pahle jo page open kiye hai usme CTRL+D dabaye.
Phir ab ek new folder bana kar koi naam likhe or save kar de. Phir jab chahe apne man pasand site ko open kar sakte hai. Bookmarking open karne ke liye Ctrl+Shift D press kare to apke samne jo folder me save kiya hai oh open ho jayega oha se khol sakte hai.
6. Personal Information Ko Kaise Safe Rakhte Hai
Google chrome me personal information safe rakhna chahte hai to uske liye CTRL+S Press Kare
Ab apke samne google chrome ke advance feature open ho jayega. Yeha par dekh sakte hai kya sync setting ke bare me. Isme aap bookmark, history, these, passowrd, open, tabs, autofill, apps, extensions, ye sab safe rakh sakte hai Par iske liye apko apne browser me log in rahna bahut jaruri hota hai. isme aap sabhi par tick mark rakhe or ok kar de.
7. Chrome Video Player
Aksar hum sab video ply karne ke liye kisi player ka use karte hai. Jaise VLC Player, 123 Media Player, GOM. In software ka use karke video dekhte hai. Par sawal ye hai agar koi video player software nahi to kya video dekh payenge. Ji ha dekh sakte hai ye bahut hi easy or asan hai jo bhi apko video dekhna ho use mous ki madat se apne browser me chhod de to video play ho jayega.
Ab apka video play ho jayega. Agra koi video format support nahi karta hai to shayad isme chal jayega. Brower me video play karna hai to aap us video par right click kare or open with brower de to chalne lagega.
8. Chrome Music Player
Hum jaise video play kiye hai tik usi parkar se google chrome me mp3 play kar sakte hai. or sun sakte hai oha par volume tez or kam karne ka option bhi diya raha hai jo bahut hi aane se song isme dreck kar ke play kar payenge.
9. Chrome Notepad Kaise Use Karte Hai
Notepad ki jarurt har computer user ko padhti hai kyo ki agar hume kuch note karke rakhna ho to aise me hum notepad ka hi use karte hai.Kyoki har computer me ye pahle se hi diya rahat hai par hum chrome browser ko bhi notepad ke rup me use kare.
Agra chrome ke notepad istemal karna chahte hai to uske liye search bar me type kare. data:text/html <contenteditable> Notepad open ho jayega ab oha par likh sakte hai.
- Android apps computer me kaise install kiye jate hai
- Ye hai best apps jo android phone me install karke paisa kama sakte hai
10. Chrome Google Extension
Kya aapko pata hai google chrome webstore kaise use karte hai. nahi to mai bata raha hu. Isme bahut sare Game software or bhi bahut kuch mil sakte hai. Iske liye chrome ke setting me jaye Ctrl+S . Page open hoga usme sabse niche Get More Extension par click kar de.
Aap dekh sate hai oha par bahut option milega. or ek search box dikhega usme jo aapko chahiye search kar de. Jaise humko screen capture software chahiye to type ki use related bahut option aa gaya ab usme se select kare or open karke download kare yahan par har parkar se free or pad me mil sakta hai.
Visitor humne is post me google chrome ke bare me 10 tips bataya hu. Sayad aapko pata hoga agar nahi maloom hai to phir ye tips use kar bahut hi acha hai. Hum aise hi tips apke sath late rahenge.
Google chrome se is post me koi sawal hai or jawaab dhund rahe hai to comment kare aap ki problem solve kiya jayega.
Article acha laga hai to apne friends ke sath share or comment jarur kare. Agar chahe to social link par follow kar sakte hai.