Latest Tweets

header ads

Top 20 Unique Tips Successful Blogger Banne Ke Liye

Blogger par sessess hona koi badi bat nahi hai lekin hum sab new blogger bahut sare galti kar baithte hai jo last me chal kar pachtao aane lagta hai. Isi ke bare me aaj main puri jankari dena wala hu kyo hum blogger par successful nahi ban pate hai kya karana hai, Agar apko time mile to ye post ache se jarur padhne aur samjha mujhe umeed hai ki iss post ko padhne ke baad kafi help mi sakta hai.
Agar hum dhyan de to blog create karna bahut hi aasan par blogger paar success hona ye bahut hi muskil aakhir iska kya karna ho sakta hai. Sabse pahle to koi bhi new blogger hota hai apna blog kisi bhi naam se bana leta koi acha keyword nahi use karta bas ek dusre ko dekh kar copy karne lagta hai aur yahi sab karna hai jo aap ka blog piche reh jata hai aur jaha se copy kiya woh kabhi bhi apse aage rahega, 
Yeh sab baat hai success blogger banane ke liye kya tricks apnana chahiye kuch important idea dena wala hu.


Blogger Par Success Hone Ke Liye 20 Tricks
Successful Blogger 

Mai bahut sare blogger ko dekh raha hu jo blogging karke lakhon rupay monthly kama rahe hai. Bahut saare aise log bhi hai jo blogging ko apna cerri bana liya hai or phir apni sari jaankari internet ke madhyam se share karte hai or use acha khasa income bhi kar rahe.


20 Popular Blogging Tricks Jo Aapko Successful Blogger Bana Sakte hain

Is post me mai jo bhi jankari share kar raha kafi important hai kyoki 20 blogging trisk hai jo isme se shayad apko pata ho par yaha par mai 6 month ke exprinece ko apne dosto visitor ke sath share kar raha hu. Aise to main blogging 2012 me start kiya tha or kuch paise earn bhi kiya lekin mujhe padhai se time nahi mila jiski ojah se mai blogging karna band kar diya. Lekin phir bhi mujhe yakin hai is post se bahut sari achhi jankari milegi.


1. Update Regularly Blog

Mujhse bahut sare visitor ne ye comment karke puch ki sar apka apka alexa rank pahle bahut kam tha phir ab thoda bad gaya iski kya karan hai, Mai un sare visitor ko pata chahta hu  1 se 2 month pahle se apne blog par post karna kafi kam kar diya tha kyo ki mujhe new article likhne ka time nahi mil paya mai apne study me busy ho gya tha or mera MCA 4 semester ka exam chalu hoga jiske wajah se mere blog par new visitor jade badh gaye or jo daily visit karte unka % kuch kam ho gaya, 
Yakeen maniye agar apne blog ki daily update karte hai to visiter badh jate hai or old visitor ko bhi aap ki post ka wait karte rahte hai. Chaliye jaan lete hain blog ko regularly Update karne ke kya faida ho sakte hai.
1. Sabse pahale to visitor ko kuch new padhne ko milta hai jise aap ki site par traffic bhi badh jati hai or jitna adhik post hoga site popular ho jayegi.

2. Blog ko daily update karne se aap ki post ko search engine jaldi index karne lagta hai.

3. Agar aap ko internet par pahchan bane hai t0 blog me kuch naya daily update karte hai jise visitor aaye or comment kare to unki help karte hai aisa karne se ek visitor 10 visitor ko laa sakta hai.

2. Post Or Title Me Acha Keyword Use Kare

Askar kya hota hai blogger to post bahut hi man lagakar likhte par sabse bada karna ye hai ache keyword ka use nahi kar pate hai jiske wajah se search me unka post aa nahi pata hai. or earning viwe kam hone lagti hai jiske wajah se unka man blogging me nahi lagta hai. Best Keyword kaha se search kar jo sabse jada google me search hota ho months me. Dosto Blog post kane se pahle keyword ideas lena bahut hi jaruri hota hai or aap ko internet par bahut saare aise tool mil jayenge jo free me keyword analyse kar ke bata dega monthly kya search hai. Sabse acha or best tool to Google Adword hai jaha se free me ideas le sakte. Keyword Ke bare me adhik jankari ke liye ye post padhe


3. Kisi Bhi Post Ki Ache Se Padhe or Sikhe

Ye baat sach hai ki har koi shortcut tricks apna chahta hai success bane ka. Par iske liye achi knowledge  ki jankari hona jaruri hai. Bahut se new blogger user kya karte hai kisi topic ke bare me search karne ke baad site par jakar ache se padh nahi or us post me kahi nikal dete hai. Aap hi soche jo usne post kiya hai to uske bare me usko experience hoga to to share kiya hai. Is liye aap us site owner ki izzat kare.


4. Apka Visitor Kis Type Ke Sabse Jate Post Read Karte Hai

Success banna hai to visitor ko dhyan me rakhte huye ye dekhna bahut jaruri hota hai sabse ziyada kis type ke post aapke padhe jate hai yeh aap apne post mein jakar dekh sakte phir visitor jo jahata hai us type ki post likh kar publish kare.
Kyoki aap ye dusro par dhyan mat do aap apne visiter ke liye kya kar sakte ho uspar focus kare.


5.  Ek Doosre Blogger Ka Nakaal Na Kare

Iska matlab ye hai aap kisi or ke blogger ka copy na kare ise visitor aap ki site se bhag jate hain jiske wajah se aap ka blog bounce rate me adhik chala jata hai or search me bahut kam aane lagta hai. Matlab aap khud kaa original content likhe kiye aur ka copy nahi kare.


6. User friendly Blog Design Kare

User friendly blog design karna bahut hi jaruri hota hai visitor badhane ke liye aur jab site par adhik visitor aayenge to view bhi adhik milega ranking acha hoga phir apke site search me top par rahega.
User friendly blog banane ke liye aap acha or simple fast loading hi apne blog me template ko use karein. Isse faida kya hota hai jab ho koi visitor aata hai or jis topic ke use zaroori hota hai asani se mil jata hai or open hone me jade time nahi lagda jiske wajah se user blog par jude rahte hai.

7. Post Se Related Achi Quality Image Post Kare.

Post me image lagane se bahut faida hai 1000 word ka article likhe or usme ek bhi  post sambandhit ek bhi photo upload nahi kiya huaa hi to bekar hai. Aap apne post me 400 word kaa hi article likho aur acha image banar visitor ko samjhao to us 1000 word se jade 400 hi word ka post acha hai. Ise kya hota visitor koi dikkat nahi hoti or jo baat apni post mein samjhaya hoga oh picture dekhte samjh jayega.


8. Adhik Social Media Par Jyada Time Waste Karna

Aaj ke time me har koi social media ka istemal karta hai par iska ye matlab nahi hua ki aap pure din bas whatsapp facebook jaise social media ke sath jade rahe. Aaj kal log sabse jade kya kar rahe hai jitna time apna post likhne me nahi lagate use jade apna time in sab chizo par barbaad karte hai.
Mai yahi kahna chahta hu man agar aap bhi ek successful blogger banker carrier bana chahte hai to blogging par jade dhayan de nahi ki social media par.


9. Apna Article Padh Kar Hi Publish Kare

Bahut se user aise hote jab apna article likhte hai use padte nahi or publish kar dete hai to iska ek bahut bada nuksan hai.
Jab hum post ke liye kisi topic par article likhte hai to net speed kam hone ke karn kabhi aisa hota hai jo humne word likha woh galti ho jata hai jis net slow rahta hai to spelling check nahi hota phir hum galt word hi publish kar dete hai.
Ise visitor ko padhne me problem hoti hai. Is liye jab bhi koi post publish karna ho jaldi na kar sabse pahle use ache se padh le kahi kuch galt word to nahi likha phir publish kare.


10. Blog Post Heading me Number Ka Use Kare

App jab koi post likhe to deading me number ka use kare Jaise aap neeche dekh sakte hai us type ka hi word use  
11. Blog Commenting Ka Reply Useful Kare aur Jaldi

Dosto commenting blogging ka oh hisa hai jo apke visitor ko positive rakh sakta hai or ye tabhi hoga jab koi apke blog par comment karta hai uska answer sahi or useful jaldi kare to. Kyoki kisi bhi comment ko response dena bahut hi jaruri hota hai kyo ki aap site owner ho oh reder hai
Ise kya hota hai visiter ke sath acha behevierrahega or use lagega is site se jade help mil raha hai mujhe



12. Har Time Page View Na Checks Kare 

Bahut sare blogger ka mined to aise kharb rahta hai unka page view kam milta hai to. Oh ek din me kareeb 30 se 40 bar to apna page view stats hi check karne me time kharb karte rahte hain.
Kyoki hum traffic ko laker hamesha apne dimag me rakhenge to apke liye negative ho sakta hai. Or is tarah se dimag me traffic ka tension bana rahega or post likh bhi nahin sakte hai
So aap hamesha positive rahe or fresh unique content ke bare me soche samjhe likhe to is tarah se ek useful blogger ban sakte hai.

13. Blog Post Sharing

Jis naam se apka blog hau us namee se social media par account bana di or jab post likh kar publish kare jitne to social media website hai us post ko share kare ise visitor badhte hai or sath hi back link banta rehta hain.

14. Unniq or SEO Friendly Post Likhe

Dosto blogging se related aisa koi topic hi nahi bacha hai jispar hum post likhe phir bhi hum aisa kya kare ki jis topic ko likhna hai oh google ke first page par dikh sakta hai.Iske liye bahut jaruri hota hai post ko unniq or fresh content SEO Friendly likhna agar aisa kar pate hai to agar koi us keyword se relate kuch search karega to apka site google first page par show karenge jise log adhik open karenge.

15. Guest Posting

Aaj ke time me har koi apne blog me guest posting karwana chahta hai. Agar apko koi offer deta sir mujhe apke blog par guest post kare to mana nahi kare. Isme bhi visitor se acha relationship bana rehta hai or site ka vlove acha raahta hai


Start a Successful Blogger Life



16. Time Management 

Blog post timing management karna bahut hi iportant hai successful blogger bane ke liye kyoki hamare post ka blog readr ka intezaar rehta hai or hum kisi ke time par hamesha post publish karte rahe to  blog readr se acha relationship bana rahega or live comment bhi kar sakte.
Agar hum koi bhi quality content likhte hai uska ek time phix kre ki apne blog par kistime publish karna to usi time kare

17. Writing skills 

Kabhi bhi us topic par post likhe jiske bare me aap ko adhik se adhik jankari ho. Aisa kabhi nahi kare post ko aadhe adhure likh kar publish kar de or jise visior read kare to problem ho or use kuch samjh nahi aaye.
Kyon Ki jitna acha writing skill rahega blog readership better bana sakte hai. Or visitor ko problem aane par adhik se adhik help kar payenge


18. Har Time Paise Kamane Ke Bare Me

Dosto hum new blogger bhi bas blog bana kar paise ke bare me har time sochte rahte hai or kisi se puch hai bhai maine blog nana liye paise kaise kama sakta hu. To ye bilkul galt hai agar aap khelpingng se relate blog par kam karte ho or koi apse help mange to jarur help kare.Blogging me fail hone ka bahut bada karan hai paisa ka lalach or hum paise ke bare me na soche or man laga kar blogging kare to success hone se koi rok nahi payega. Jab hum dusro ki help karna start kar denge to ek na ek din Successful blogger bana kar paise kama sakte hai apne blog se.

19. Apne Upar Aatm Viswas Rakhe

Aksr bahut baar hota hum blogger ko apne aap par bhi yakin nahi hota hai hum blogging me aage badh sakte hai. Mere bhai kisi bhi kaam ko karne se sabse badi baat hoti hai aatm vishwas agar ye aapke paas nahi hoga to phir aap  kabhi bhi successful insan nahi ban sakte hain. Is liye jaruri hai dair rakhe or aatm vishwas ke sath koi kaam kare is bar bhi to next time success jarur ho payenge.


20. Blogging me  Success Hone  ke Liye Kuch  Quotes
  1. Blog ko google ranking me lane ke liye bahut sare upaye hai. Lekin sabse badi apki gun hai.
  2. Internet ki duniya me ek aam aadmi bhi apne hunar se criar bana sakta hai.
  3. Jab tak aap koshish nahi karoge to bisalta aapko milti rahegi.
  4. Safalta pane ke liye bahut sare kathinaya aati par use jo jhelta hai ohi success banta hai
  5. Agar aap bhi blogging me safalta pana chahte ho to din mehnat kare aap bhi jo success bankar baithe ek din uske jaisa aap bhi honge
  6. Hamesha koshish karte rahe ki apne blog reader ko ache se ache jankari de
  7. Bloggin us topkin pe kare jiske bare me aapko adhik jankari ho. Aisa kabhi nahi kare apke dost ne helping log crate kiya to aap usko dekh kar bana liye aap ye dekhe sabse jada kiss me interest hai.
  8. Kyoki blogging ka matlb hi apni knowledge ko logo tak pahucha naki ohi chiz share kare jo log pehle se jante hai ro internet par uplabdh ho.
  9. Blogger Ko daily update karte rahe to safalta milegi 
  10. In sari bato ko dhyan me rakhte hue kam karte ho phir ek din aisa aayega aap blogging karke acha khasa paise earn kar sakte ho. Kyoki jab in share tips ko follow karte hai to apke blog par visitor badh jayega aur jitna visitor rahega utna paisa earn hoga.

Blogging me Success Hone Ke Liye Top batain 

Dosto aapne agar post ko ache se man laga kar padha hoga to maine is post me bataya hai kaise ek new blogger jo ek dam naya ho kaise successful blogger ban sakta hai. kyon ki blogging me success hone ke liye kya-kya karna chahiye sari bate ko detail me share kiya. Aur mujhe yakin hai is post ko mere reader to kafi achhi jankari sikh samajhne ko milega. 

Blogger par unsuccessful hone ka yahi sab karna hai. Hum in sab bate par dhayan nahi dete hain jiske karan 4 se 5 month blogging karke bhi fail ho jate.
So i hope aap ab se in sari bato ko dhyan me rakhte hue man lagakar blogging karenge to 100% successful blogger zaroor banega.

Mujhe umeed hai apko ye post accha laga hoga. Aise bhi jankari apne dosto ke sath share kare jo blogging me interest rakhte ye post ko un tak pahucha kyoki aap ki help se kisi ko new batain sikhne ko milega.  Post acha lage to share comment jarur kare or bataye koi apko blogs related sawal hai jiska jawab dhundh rahe ho to,